Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Responsive Advertisement

ek dalel



quran jo ishwar wani hai usne sansar ko apne saty ishwar  wani hone ke liye yah chunoti  di ki

Agar tumko sandeh hai ki quran us malik ka sacha kalam nahi hai to is jaisi ek surah chhota adhyay hi bana kar dikhao aur is kayer ke liye  ishwar ke siwa samast sansar ko apni madad ke liye bula lo agar tum sache ho(surah al baqra: 23)

Chaudah so (1400)sal se aaj tak is sansar ke basne wale aur saince aur computer tak sodh karke thak chuke aur apna sir jhuka chuke hain kisi me bhi yah kehne ki himmat nahi hui ki yah allaah ki kitab nahi ki


Is pavitr kitab me malik ne hamari budhi ko samjhane ke liye anek dalile di hain ek udahran yah hai  agar dharti aur akash me anek mabud maalik hote to kharabi aur fasad mach jata bat saf hai agar ek ke alawa kai malik hote to jhagda hota ek kehta ab raat hogi dusra kehta din hoga ek kehta 6 mahine ka din hoga dusra kehta teen 3 mahine ka din hoga ek kehta suraj aaj pashchim se niklega dusra kehta nahi purab se niklega agar devi devtao ka yah adhikar sach hota aur weh allaah ke karyo me sharek hote to kabhi kabhi aisa hota ki ek das ne puja archna karke warsa ke devta se apni baat swekar kra li tabhi bade malik ki wor se order aata hai ki abhi warsa nahi hogi phir niche wale hadtal kar dete ab log baithe hain ki din nahi nikla malum hua ki sury devta ne hadtal kar rakhi hai