Yadi aag ki ek choti si chingari aapke samne padi ho aur ek abodh bacha samne se nange pao araha ho aur uska nanha se pao sidhe aag par padne ja raha ho to aap kiya karenge aap turant us bachge ko god me utha lenge aur aag se door khada karke apar parsannta ka anubave karenge
Isi parkar yadi koi manush aag me jhulas jaye ya jal jaye to aap tadap jate hain aur uske parti aapke dil me sahanubhuti paida ho jati hai
Kiya aapne kabhi socha akhir aisa q hai? Isliye ki samast mano samaj kewal ek mata pita ki santan hai aur har ek ke sine me ek dhadakta hua dil hai jisme prem hai hum dardi hai aur sahanubhuti hai wah ek dusre ke dukh sukh me tadapta hai aur ek dusre ki madad karke parsann hota hai isliye sacha insan aur mano wahi hai jiske sine me puri manota ke liye parem ubalta ho jiska har kayr manota ke sewa ke liye ho aur jo har ek ko dukh dard me dekh kar tadap jaye aur uski madad uske jiwan ka atut ang ban jaye
Is sansar me manush ka yah jiwan asthai hai aur marne ke bad use ek aur jiwan milega jo sathai ho ga apne sache malik ki upasna aur kewal usi ki mane bina marne ke baad ke jiwan me saurg parapt nahi ho sakta aur use sada ke liye nark ka idhan banna padega
Aaj lakho karodo aadmi nark ka idhan banne ki hod me lage hue hain aur aise marg par chal rahe hain jo sidhe nark ki wor jata hai is watawran me un tamam logo ka daitw hai jo mano samuh se prem karte hain aur manota me aastha rakhte hain ki we aage aye aur nark me gir rahe insano ko bachane ka apna kartab pura kare sakoonedil